SEO ko hum Search Engine Optimization kehte hai. SEO ke Bolne se hi SEO ke baare me pata chalta hai ki SEO karta kya hai. Search Engine Optimization yani aapke Blog ko search Engine Friendly banata hai. Jaise aapke Blog ko Google Search Engine Friendly banata hai. Jab aap Apne Blog se Related koi Keyword Search Karte hai to aapki Website Khulti hai Yeh SEO ka hi kamal hai. SEO website/Blog ke Liye Itni Jaroori hai ki Aap SEO ke bina Apne Blog se Achi Earning nhi kar sakte.


Jaise Jaise Internet par log badhte ja rahe hai waise waise SEO Karni Bhi Jaroori Hoti ja rahi hai. Search Engine Optimization Search Engines (Google, Yahoo, Bing) me aapki Visibility ko improve karta hai. Search Engine se jab aapki Website Khulti hai to jo Traffic aapko Milta hai use Organic Traffic kehte hai. Organic Traffic (Natural Traffic) se Adsense main Bahut achi Income Hoti hai. 

# SEO do Prakaar ki Hoti hai


Website Blog ko SEO ki Jaroort kyun padti hai ?

Ek naye Blogger ko Apni Website ko Logo tak Pahuchane ke Liye SEO ki jaroort padti hai. SEO se google aur Doosre Search Engine me Jo Keywords search hote hai us se aapke Blog par Traffic aane se aapke Blog ki Value Badhti hai. Aapke Blog Ki Ranking Bhi achi Hoti hai. Jo Traffic aapke Blog par Search Engine se aati hai us se aapki Adsense Earning bhi achi Hoti hai.

SEO Asan Hai Ya Mushkil ?

seo-is-hard-or-easy
SEO asan nhi hai. Kyun ki Google SEO ki Techniques ko Change karta rehta hai Jis se SEO ko Poori Tarah samajhna Asan nhi hai. Main aapko Ek Baat bata doon ki agar aap ek Blogger hai aur apne Blog ko Aage Le jana Chahte hai to aise bahut se Topic aapko Mil jayenge jinki logo ko jaroort hai par veh topics Google aur Doosre Search Engines par nhi milte. isliye aap aise Topics par Information de kar Apni SEO ko bahut Behtar bana sakte hai. Aap ek Blogger hai to Guest Posting Jaroor kare. Kyun ki Guest Posting se aapka rank increase hota hai aur aapki SEO ko bahut fayda milta hai.

Search Engine Kyun Humaari Website ko SEO ke Bina Notice nhi karta

Search Engines Technology me bahut aage hai. Jis se search engine apne Crawl Technology ko Acha aur deep karte rehte hai. ek achi seo aapko ek din me 1000+ visitors dila sakti hai. SEO aapki website ki ranking ko Bhi improve karta hai.


Kya Mai Apni Website ki Khud SEO kar sakta hoon ?

Poori Duniya me Bahut se Log SEO ko Samajh Chuke hai jis se SEO thodi Muskil ho gyi hai. Par main aapko bata doon ki SEO naamumkin nhi hai. Aap Koshish karenge to ache se kar payenge. Bahut se Guide Online Maujood hai Jin se aap SEO Seekh sakte hai. HindiSeHelp Bhi aapki SEO me Help karega.


Note: Agar aap Yeh Post “SEO Kya Hai SEO karne ke kya Fayde hai Free SEO Guide” pasand aayi ho to Comment jaroor kare